Aaj subah doodhwale ki muskaan dekhkar
Mai ekdamse kuch soch me padi,
Laga kitna khus hai vo apne kaam se
Aur MAI ?
Mai yaha multitask karte pareshaan thi khadi?
Aakhir usse jyada qualified hu,
Kaam ki complexity bhi MERI hi jyada hai,
Fir bhi uska chehre muskurata hua
Aur subah subah mera motivation jaise AADHA hai??
Bachpan se toh yahi suna
Ki mehnat karo degreeya lao
Warna jeevan bhar pachtaenge;
Par professionally qualified hokar bhi
Ye jo “SUKOON” wali muskaan hai ….
Ise kya karne par payenge??
Bada hokar pata chala ki
Degreeyo ki ginti se khusiyo ki degree ka
Jaise koi vaasta hi na raha,
So were mummy papa and teachers wrong then
Jinhone sirf padhkar successful banane ko kaha??
Badi hi ajeeb si paheli me aakhir
Society ke system ne hum sabhi ko phasaya tha,
Abhi mehnat karo jeene ko zindagi padi hai
Repeatedly yahi long term memory me
Minutely jo bithaya tha…
Respect aur status toh bhai
Kuch bada achieve karnese hi milti hai,
Jo jeevan me kuch bada na kiya
Toh kisi kaam me ehmiyat kaha milti hai??
Pause and reflect karke isi par se
Jab khud ke parenting technique ko analyse kiya
Toh Galti ke samajh aate hi
Situation at hand ka maine damage control kiya…
Degreeyo ko haasil karna jitna zaruri hai
Jeevan ke STANDARD ke liye,
Life skills aur emotional balance ko paana bhi
Usse jyada important hai
Life ki FULFILMENT ke liye !
Toh jeene ka mantra apne baccho ko sikhana
Turant hi maine BANDH kiya,
Aur zindagi ke rat race ki participation se
apna NAME maine withdraw kiya.
Satisfaction aur achievement ko apne
Society ke tarazu se utaar liya
emotional balance ko chunkar
unnecessary stress se
apni life ko maine khud hi reeha kiya !
Jo baat pate ki lagi ho pyaare
toh tum bhi isko implement karo
Aakhir tum jaise duniya me EK tum hi ho bandhu
Khud ko Khud ke liye zara prioritize Karo.
– Sonali Bakshi
23/04/2023
Excellent Sonali….👍👌❤️
LikeLiked by 1 person
Thank you 😊
LikeLike