Fir Se Milenge

Aisa kya likhu jisme

tere jeevan ka saar nazar aaye,

alfaaz kam pad jaate hai Maa

aisi kavita rachneme

jiski panktiyon me

tera pyaar samaa paaye !

Meri har choti badi baat ka

tujhe hardam khayaal rehta tha,

matra chehre ke haav-bhaav se hi Maa

mere mann ki stithi ka

tujhe ehsaas rehta tha..!

Beta sun le, beta kha le

din bhar kehti rehti thi,

jaate – jaate bejaan, suna kar gai vo ghar

jisme meri pyaari Maa rehti thi..!

Tere jaane se hi toh pata chala Maa

ki ghar aur makaan me antar kya hai,

vo ghar toh ghar hi nahi

jisme mamta ki chaya

Maa ka pyaara pratibimb naa hai..!

Rishta ek janam ka nahi hai tujhse

aatma se juda hrunanubandh hai yeh,

alpaviram hai kuch samay ka yeh markar bichadna,

sath toh janmo janam ka hai..!

Intezaar hai us din ka aye Maa

jab hum firse mil paayenge,

tere aanchal ki chaya me

mere aansu pal bhar me sukh jaayenge,

fir yeh sunapan tujhse milkar

ek pal me gayab ho jayega,

teri baaho ke aashray me Maa

mera bechain yeh mann

bachpan sa sukoon fir se paayega..!

– Sonali Bakshi

21/04/2022

Advertisement

8 thoughts on “Fir Se Milenge

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s