Sach kahu…. kabhi kabhi jeene ki chah nahi hoti,
Jeevan me bohot akele pad jaate hai
Jab mehsus hota hai ki sang MAA nahi hoti..!
Bus yaad hi uski reh jaati hai,
Ab rone par khud chup hona hai,
Ansu pochne MAA kahaan aati hai !
Nakali sa muskurana padta hai,
Ghum samet kar dil ke kisi kone me
Khud hi dafnana padta hai,
Jakhm bhole mann se kisi ko batane ke liye ab chaah nahi hoti,
Waise bhi kaun samjhega mann ki baatein??Jo samajhti thi bin bole ab meri vo MAA nahi hoti… !
Jab sang thi toh sabse jyada usi par haq jatati thi,
Nakhre saare usi ke aage pure raub se dikhlati thi,
Uske sang hone na hone ka antar main kaha jaanti thi,
Maa toh baccho sang hamesha hoti hai isi ko sach main maanti thi.
Par jab chali gai vo pal bhar me toh uski kami bhalibhanti samajh aayi,
MAA nahi milegi dobara jab bhi socha hai aankhe bhar aayi,
Khushnaseeb hai vo jinke paas ab bhi MAA ka saya hai,
Jisne khoya hai use uske dil se pooch kar dekho jeevan me usne kya gavaaya hai….!
– Sonali Bakshi
28/06/2022
Very touching Sonali!!!…. Can’t imagine maa se bichadana….😞
LikeLiked by 1 person
🙏
LikeLike
Very nice and touching
LikeLiked by 1 person
Thank you
LikeLike
Very touching poetry Sonali….so close to ❤️ ❤️
LikeLiked by 1 person
Thank you
LikeLike