Baat yeh bhi zaroori hai
toh gaur karna ispar bhi zara janaab,
Jhanda pandhra ko leherakar solah ko
Idhar-udhar rakh na dena tum kisi kaagaz ke samaan,
Shaan hai isme hamari tumhari,
Vishva me Bharat desh ka yeh prateek hai,
‘Har Ghar Tiranga’ ki ehmiyat ek din tak seemit nahi,
Desh bhakti ka josh ghar ghar pohochane ki yeh Bharat sarkaar ki muheem hai ..!
– Sonali Bakshi
14/08/2022