Teen rango ke mel se bana
Tiranga Bharat ki shaan hai,
Anek hai mazhab aur jaatiya
par ek hamari pehchaan hai !
Utar- dakshin purab-pashchim bhashaye sanskritya hai anek,
Par saari vividhata ka samikaran hai humara pyaara desh!
Azaadi ki neev rakhi thi sehensheelta, tyaag, balidaan se,
Ab waqt hamara hai pragati ka
vishvaguru banenge gyaan se !
Sabka sath sabka vikaas atal hamara ab naara hai,
Ekta me shakti hai sab haasil karne ki
Jo milkar humne thaana hai !
Na Hindu Muslim Sikh Isaai
Na praant na kshetra hai
Bhai- behen ban ekjut hai hum
Hindustaan hum sabhi ka desh hai!
-Sonali Bakshi
15-08-2024
