Ek arsa beet chuka hai tere jaane ke baad,
dil me dabi yaadein bhi ab kuch dhundalayi si hai.
Aankho se aansu pehlese behete nahi ab,
aadat is zamane sang muskurane ki lagayi si hai.
Par fir bhi tera zikra aate hi Maa,
mere dil ki dhadkan ek pal ruk si jaati hai,
Jo dil ke aadhe tukado ki adla badali hui thi,
ehsaas uska dila jaati hi hai.
Jaate waqt jo tum le gayi ho mera aur janam dekar apna jo chod gayi ho mujhme…
Dil ke us tukade ka hisaab
ab bhi baaki,
Maa tujhse ek mulaakaat
ab bhi baaki hai.
Jeevan ke rangmanch par apni bhoomika nibhakar
darshako ko aansuo me chod tum gayi ho,
antaraal ke baad aaungi mai bhi
nibhakar yeh kirdaar bhakoobi se apna,
dobara naye armaano aur kisse-kahaniyo ko
ek duje sang milkar jeene ke liye!
– Sonali Bakshi
30th November, 2023
