Ruke hai hum us subah k liye jo pal bhar me beeta kal le ayegi,
Mushkil din guzar jaayenge
aur purani aadatein laut aayengi !
2020 me laga 2021 sab badalega,
Par 21 toh jhatka hi de gaya
Na jaane kitne ghar roye
Kitno ka 21 kitna kuch le gaya…!
Din aakhri chand kuch bache hai,
2022 aane ko hai,
Mann me yahi ummeed thi 21 sang
yeh pandemic khatm ho jaane ko hai.
Par December aate aate omicron variant ne
dastak darwaze par hai di,
Jaane iska kya hashra hoga
Mann me chinta fir uthi.
Samajh aaya is bhole mann ko mere
ki jo beet gaya vo beet gaya,
New normal jaisa ab kuch nahi,
new normal hi kab ka normal ban chuka.
COVID, Corona mehmaan na rahe ab,
Is duniya ka hissa yu ban chuke,
Ke unke sang coexist karke jeena
Waqt agaya hum tum hi seekh le !
Anginat bar hai sun liya
ke hatho ko dhoye, mask lagaye,
social distancing ka paalan kare,
Sanitizer haatho ke liye apne
Sang har waqt jeb me zaroor rakhein,
Bar bar lockdown sehne ki shamta
hum me ab bachi nahi ,
Laparawahi me samazhdari nahi hai pyaare
Pandemic se seekh sikhaye hai zindagi !
– Sonali Bakshi
22/12/2021
Very nice and well written
LikeLiked by 1 person
Thank you 😊
LikeLike